wo mar gaya sada-e-nauha-gar mein kitni der hai ki saneha to ho chuka khabar mein kitni der hai hamare shahr ki riwayaton mein ek ye bhi tha dua se qabl puchhna asar mein kitni der hai muqabla hai raqs ka bagula kab ka aa chuka magar pata nahin abhi bhanwar mein kitni der hai khuda-e-mahr aasman ujal de ki yun na ho diye ko puchhna pade sahar mein kitni der hai hazar kufa o halab guzar rahe hain roz o shab main jis taraf chala hun us nagar mein kitni der hai khirad ki tez dhup mein junun ka saeban khila main bij bo chuka so ab shajar mein kitni der hai abhi hamein guzarni hai ek umr-e-mukhtasar magar hamari umr-e-mukhtasar mein kitni der hai