wo maza rakhte hain kuchh taza fasane apne bhulte jate hain sab dard purane apne kar ke ek bar teri chashm-e-fusun-gar ke supurd phir na puchha kabhi bandon ko khuda ne apne bazm-e-yaran mein wo ab kaif kahan hai baqi roz jate hain kahin ji ko jalane apne haal mein apne kuchh is tarah magan hain goya hum ne dekhe hi nahin agle zamane apne hum wahi hain ki jahan baat kisi ne puchhi khush-guman ho ke lage dagh dikhane apne ham-nashin dost ki surat to kahan milti hai chain se wo hai jo dushman ko na jaane apne zikr se us ke sanwara hai sukhan ko 'haqqi' khush-maza lagte hain kanon ko tarane apne