wo mujhe KHak se bahar nahin jaane dete

wo mujhe khak se bahar nahin jaane dete
dast-e-sahil se samundar nahin jaane dete

sath par aae hue ban ke kaf o mauj o hubab
zer-e-dariya yahi gauhar nahin jaane dete

hain meri rah ka patthar meri aankhon ka hijab
zakhm bahar ke jo andar nahin jaane dete

mujh ko is gumbad-e-be-dar se pare ka bhi hai zauq
ye mere baal mere par nahin jaane dete

hadd-e-aflak pe ja kar to sada de aaya
magar aflak se upar nahin jaane dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close