wo mujh se mera taaruf karane aaya tha abhi guzar jo gaya ek azim lamha tha suna hai main ne yahan surkh ghas aa gai thi wo baadshah yahin apni jang haara tha hamari raat se behtar thi agle waqt ki raat har ek ghar mein diya subh tak to jalta tha aziz mujh ko bhi the naqsh apne mazi ke use bhi shauq purani imaraton ka tha ab apne sar ka tahaffuz bhi aap khud kije faza mein aap ne patthar bhi khud uchhaala tha gaya to apni udasi bhi de gaya mujh ko tamam din jo mere sath hansta rahta tha ab us se ek bada nam jud gaya 'azhar' jo shah-kar meri fikr ne banaya tha