wo nahin yaro kisi bhi baat mein

wo nahin yaro kisi bhi baat mein
jit kar bhi jo maza hai mat mein

har kisi ke gird logon ka hujum
har koi tanha hai apni zat mein

dekhne wale inhen padh ghaur se
ek ek duniya hai in zarraat mein

kha gai ab tak ye kitne aaftab
raaz hai muzmar ajab is raat mein

be-gunahon ke lahu ki surkhiyan
ja baja bikhri hain akhbaraat mein

aao katen cake ko imsal bhi
aansuon ki is bhari barsat mein

bach ke rahna hum se ai dasht-e-junun
us ka saya hai hamare sat mein

ai safiran-e-ziya ab tum kaho
ab ke suraj hai hamare hat mein

bab mein us ke hai 'tahir' aaj bhi
ek sannata sa kaenat mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close