wo phaile sahraon ki jahan-baniyan kahan hain ye sab to ghar jaisa hai wo viraniyan kahan hain wahi ummiden shikast-e-dil ki wahi kahani wo jaan-ba-kaf doston ki qurbaniyan kahan hain sulag rahe hain zamin zaman phir bhi puchhte ho sharar-faroshon ki qahr-samaniyan kahan hain qadam qadam par fareb pag pag nukile kante chaman tak aane ki ab wo aasaniyan kahan hain 'raza' ye mahfil to sard hi hoti ja rahi hai kahan hain shamen wo shoala-samaniyan kahan hain