wo ranjishen wo marasim ka silsila hi nahin

wo ranjishen wo marasim ka silsila hi nahin
yahan kisi mein wo pahla sa rabta hi nahin

main khushbuon ke taaqub mein aa gaya hun wahan
jahan se laut ke jaane ka rasta hi nahin

ye khud-sari ya shararat usi ka hissa hai
wo koi khel mohabbat mein haarta hi nahin

ye e'tiraf bhi ghabra ke kar liya main ne
main chahta hun tujhe sirf sochta hi nahin

uda ke le gaya raaton ki nind aankhon se
wo kam-sukhan jo kabhi mujh se bolta hi nahin

pukarta hun main us ko usi ki chaukhat se
kiwad jism ke jo mujh pe kholta hi nahin

tabah ho gae khuddariyon mein donon 'rais'
wo khud ko saunp de lekin main mangta hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close