wo rashk-e-mehr-o-qamar ghat par nahin aata kabhi andhere-ujale nazar nahin aata ye kah do kucha-e-jaanan ke jaane walon se udhar jo koi gaya phir idhar nahin aata tilai-rang ye kya kya chale hain talwaren kisi ke qabze mein wo kunj-e-zar nahin aata wo na-tawan hun ki sunta nahin koi meri wo zar hun ki kisi ko nazar nahin aata meri taraf se ye ghaflat hai ham-safiron ko chaman se ud ke kabhi ek par nahin aata nahin nasib mein apni jo daulat-e-bedar to khwab mein bhi mera swayamwar nahin aata azab-e-naza hi qasid ka intizar mujhe ajal hi aae agar nama-bar nahin aata wo kaun log hain jin par huma hai saya-fagan yahan to bum bhi baala-e-sar nahin aata yahan wasila-e-rozi faqat hai yaad-e-khuda ki hech-kara hain koi hunar nahin aata bashar ko chahne anjam-e-kar ki kuchh fikr jahan mein koi bar-e-digar nahin aata sanam ko hath se jaane na dijiye ai 'bahr' nikal ke musht-e-sadaf se guhar nahin aata