wo raushni hai kahan jis ke baad saya nahin kisi ne aaj talak ye suragh paya nahin kahan se laun wo dil jo tera bura chahe udu-e-jaan tera dukh bhi koi paraya nahin teri sabahat-e-sad-rang mein bikhar jaun abhi wo lamha meri zindagi mein aaya nahin tere wajud pe angdai ban ke tuta hai wo naghma jo kisi mutrib ne gungunaya nahin nai-naweli zaminon ki sondhi khushbu mein wo chandni hai ki jis mein koi nahaya nahin hum ek fikr ke paikar hain ek khayal ke phul tera wajud nahin hai to mera saya nahin wo bab jis mein tawanaiyon ki khushbu hai fasana-saz ne 'farigh' kabhi sunaya nahin