wo ruKHsat ki ghaDi wo dida-e-nam yaad aate hain

wo rukhsat ki ghadi wo dida-e-nam yaad aate hain
na jaane aaj kyun bhule hue gham yaad aate hain

ye chashm-e-dost ki sazish nahin to aur phir kya hai
ki mere mundamil zakhmon ke marham yaad aate hain

hua hai jab se dil said-e-sitam-ha-e-gham-e-dauran
wo yaad aate to hain lekin bahut kam yaad aate hain

yahan hum gham ghalat karne ko aae the magar saqi
qayamat hai ki maikhane mein bhi gham yaad aate hain

koi jab chhedta hai qissa-e-dar-o-rasan 'qaisar'
to diwanon ko un ki zulf ke kham yaad aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close