wo samne jab aa jate hain sakte ka sa aalam hota hai

wo samne jab aa jate hain sakte ka sa aalam hota hai
us dil ki tabahi kya kahiye amrit bhi jise sam hota hai

dete hain usi ko jam-e-tarab jo jura-kash-e-gham hota hai
kab bagh-e-jahan hain khanda-e-gul be-girya-e-shabnam hota hai

jab walwala sadiq hota hai jab azm musammam hota hai
takmil ka saman ghaib se khud us waqt faraham hota hai

anjam-e-wafa bhi dekh liya ab kis liye sar kham hota hai
nazuk hai mizaj-e-husn bahut sajde se bhi barham hota hai

ye aag dahakti hai jitni utna hi dhuan kam deti hai
ehsas-e-sitam badh jata hai to shor-e-fughan kam hota hai

rag rag mein nizam-e-fitrat ki raqsan hai mohabbat ki bijli
ho lakh tazad azdad mein bhi ek rabta baham hota hai

mil-jul ke ba-rang-e-rang-e-shir-o-shakar donon ke nikharte hain jauhar
dariyaon ke sangam se badh kar tahzibon ka sangam hota hai

taraj nasheman khel sahi sayyaad magar itna sun le
jab ishq ki duniya lutti hai khud husn ka matam hota hai

diwanon ke jeb-o-daman ka udta hai faza mein jo tukda
mustaqbil-e-millat ke haq mein iqbaal ka parcham hota hai

mansur jo hota ahl-e-nazar to dawa-e-baatil kyun karta
us ki to zaban khulti hi nahin jo raaz ka mahram hota hai

ta-chand 'suhail' afsurda-e-gham kya yaad nahin tarikh-e-haram
iman ke jahan padte hain qadam paida wahin zamzam hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close