wo saneha hua tha ki bas dil dahal gae! ek shab mein sare shahr ke chehre badal gae nairangi-e-nazar pas-e-aina khub thi bahar nikal ke dekha to manzar badal gae mitti mein mahtab ki khushbu ka bhed tha kis justuju mein hum lab-e-baam-e-azal gae baran ki iltijaon mein waqf-e-dua the jo pedon ke hath dhup ki zad mein pighal gae ghulne lagi hain jaise rag-e-jaan mein thandaken kya dekhte hi dekhte mausam badal gae