wo sar se panw tak hai ghazab se bhara hua main bhi hun aaj josh-e-talab se bhara hua shorish mere dimagh mein bhi koi kam nahin ye shahr bhi hai shor-o-shaghab se bhara hua han ai hawa-e-hijr hamein kuchh khabar nahin ye shisha-e-nashat hai jab se bhara hua milta hai aadmi hi mujhe har maqam par aur main hun aadmi ki talab se bhara hua takrao ja ke subh ke saghar se 'aftab' dil ka ye jam wada-e-shab se bhara hua