wo shakhs to mujhe hairan karta jata tha ki zakhm de ke mujhe un ko bharta jata tha daricha kholte jo hath un mein thi zanjir gali se ek musafir guzarta jata tha banae jata tha main apne hath ko kashkol so meri ruh mein khanjar utarta jata tha use malal se takti thin ganw ki galiyan wo naghma-gar jo siye lab guzarta jata tha banae jata tha us ko hasin na jaane kaun badan wo phul na tha aur nikharta jata tha talash-e-zar mein jawan kuch karte jate the 'kamal' ganw ka sab husn marta jata tha