wo the apne to har ek daur tha ho kar apna ab na taqdir na qismat na muqaddar apna mai-kada apna hai mai apni hai saghar apna ye alag baat ki haq hai na kisi par apna kabhi girdab tha mauj apni thi gauhar apna ab nadi apni na dariya na samundar apna boriya rahta salamat na to bistar apna wo to ye kahiye ki takiya tha khuda par apna na sukun bhid mein dil ko na akele mein qarar kya khabar chahta kya hai dil-e-muztar apna kyon tadap uthte na logon ke tadap uthne par waqt ke dil ki tarah dil nahin patthar apna aap ka husn salamat hai khud aaina kharab aap sharminda na hon dekh ke manzar apna waqt karta raha tadbir barabar apni kaam karti rahi taqdir barabar apna surkh-ru kyon na gulistan nazar aaega 'nasib' jazb hai khun har ek phul ke andar apna