wo to har chahne wale pe fida lagta hai jaane kis kis ka hai jo mujh ko mera lagta hai us ne qadmon mein saja rakkhe hain ummid ke phul dekhne walon ko jo aabla-pa lagta hai ab na sun paega wo meri sadaen shayad wo kahin dur bahut dur gaya lagta hai par jo phailata nahin khauf se apne panchhi taza taza kisi pinjre se uda lagta hai ye jo hum jaisa hi insan hai insan abhi is ko masnad pe bitha den to juda lagta hai main bhula deta hun har bar jafaen us ki jab bhi sine se mere tut ke aa lagta hai aao is pyar ko hum aakhiri pursa de den is tarah chhod ke jaana to bura lagta hai