wo to itna hi kare aap ka chehra dekhe

wo to itna hi kare aap ka chehra dekhe
ishq jab hone lage daud ke duniya dekhe

aankh khul jae to wo tera hi rasta dekhe
aankh lag jae to wo khwab bhi tera dekhe

main bhala us ke bharose pe kahan tak jata
rah mein jis ne shajar mujh se ziyaada dekhe

jo zaban wala hai chup-chap nikal jae aur
jo nazar wala hai wo sirf tamasha dekhe

duniya-dari se bahalte nahin diwane log
shiddat-e-pyas to har samt hi dariya dekhe

warna ek umr hui bhid mein hanste hum ko
us ki qismat jo hamein samne rota dekhe

wo kabhi chand sa khil jae meri khidki par
mujh ko muddat hui raaton mein ujala dekhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close