wusat-e-bahr-e-ishq kya kahiye ibtida ho to intiha kahiye tere jaur-o-jafa ko kya kahiye naz kahiye unhen ada kahiye us sitamgar ko or kya kahiye sare jhuton ka peshwa kahiye puchhna chahiye tabibon se dard-e-dil ki hai ye dawa kahiye hum bhi munh mein zaban rakhte hain kuchh samajh kar bura bhala kahiye ghairon ke samne bula ke mujhe kahte hain dil ka muddaa kahiye na koi yar hai na hai gham-khwar kis se ab dil ka majra kahiye pite hain jo sharab masjid mein aise logon ko parsa kahiye sharm kya hai mujhe jo kahna ho samne sab ke barmala kahiye wo jafa-gar falak sitamgar hai kise achchha kise bura kahiye ghair sath aap ke maze luten hum uthaen jafaen kya kahiye bhul kar le gaya su-e-manzil aise rahzan ko rahnuma kahiye chaar agar yar hain to das dushman raaz dil ka na ja-ba-ja kahiye jaan se gar gaya koi aashiq ishq ki is ko ibtida kahiye kya yahi shart hai mohabbat ki be-wafaon ko ba-wafa kahiye shaikh pite hain jo mai-e-ulfat us ko kis tarah narawa kahiye dil ka sine ka aur jigar ka haal hai ye wajib juda juda kahiye haal sunte nahin mera na suno apne dil ka to majra kahiye 'mashriqi' chhodiye buton ka zikr subh uth kar khuda khuda kahiye