yaad aai wo zulf-e-pareshan kat jaegi ab shab-e-hijran mere baad ai jalwa-e-jaanan kaun karega dawat-e-mizhgan tera gila kya gesu-e-jaanan main bhi pareshan tu bhi pareshan kis ne dekha zakhm gulon ka karte rahe sab sair-e-gulistan dekh qafas mein aag lagi hai abr-e-bahaaran abr-e-bahaaran apni jafa par apni wafa par wo bhi pasheman hum bhi pasheman ek jigar ke dagh se raushan tera shabistan mera shabistan mar kar jina tu ne sikhaya ai gham-e-jaanan ai gham-e-jaanan