yaad aata hai to kya phirta hun ghabraya hua

yaad aata hai to kya phirta hun ghabraya hua
champai rang us ka aur jauban wo gadraya hua

baat hi awwal to wo karta nahin mujh se kabhi
aur jo bole hai kuchh munh se to sharmaya hua

ja ke phir aaun na jaun us gali mein daud daud
par karun kya main nahin phirta hai dal aaya hua

be-sabab jo mujh se hai wo shola-khu sargarm-e-jang
main to hairan hun ki ye kis ka hai bhadkaya hua

wo kare azm-e-safar to kijiye duniya se kuch
ye irada hum ne bhi dil mein hai thahraya hua

nok-e-mizhgan par dil-e-pazh-murda hai yun sar-nigun
shakh se jhuk aae hai jun phul murjhaya hua

jaun jaun kya lagaya hai miyan baithe raho
hun main apni zist se aage hi uktaya hua

teri duri se ye haalat ho gai apni ki aah
an-qarib-e-marg har ek apna ham-saya hua

kya kahen ab ishq kya kya hum se karta hai suluk
dil pe be-tabi ka ek pyaada hai bithlaya hua

hai qalaq se dil ki ye haalat meri ab tu ki main
chaar-su phirta hun apne ghar mein ghabraya hua

chupke chupke apne apne dil mein sab kahte hain log
kya bala wahshat hui hai is ko ya saya hua

hukm bar-e-majlis ab 'jurat' ko bhi ho jae ji
ye bichaara kab se darwaze pe hai aaya hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close