yaad hai pahle-pahal ki wo mulaqat ki baat wo maze din ke na bhule hain na wo raat ki baat kabhi masjid mein jo waiz ka bayan sunta hun yaad aati hai mujhe pir-e-kharabaat ki baat yaad piri mein kahan ab wo jawani ki tarang subh hote hi hamein bhul gai raat ki baat shaikh ji majma-e-zindan mein nasihat kaisi kaun sunta hai yahan qibla-e-hajat ki baat hae phir chhed diya zikr adu ka tum ne phir nikali na wahi tark-e-mulaqat ki baat jab liya ahd shab-e-wasl kaha is ne 'hafiz' subh ko yaad rahegi ye hamein raat ki baat