yaad hai roz-e-azal usne kaha kya kya kuchh

yaad hai roz-e-azal us ne kaha kya kya kuchh
bar-khilaf is ke yahan tu ne kiya kya kya kuchh

hur di khuld diya qasr diya rahne ko
mujh gunahgar ko khaliq ne diya kya kya kuchh

sal-ha-sal bahaar-e-chaman-e-alam ne
rang dikhlae hain hum ko ba-khuda kya kya kuchh

gah khizan aai gulistan mein kabhi baad-e-bahaar
samne aankhon ke bande ke hua kya kya kuchh

tohmat-e-jurm-o-jafa hirs-o-hawa ghaflat-e-dil
hum ne bazar se hasti ke liya kya kya kuchh

aasman mehr-e-falak ru-e-zamin arsh-e-barin
peshtar is se khuda jaane hua kya kya kuchh

bab-e-firduas o dar-e-rauza-e-rizwan zahid
band in aankhon ke hote hi khula kya kya kuchh

naza ke waqt main puchhunga kisi munim se
sath kya apne liya aur raha kya kya kuchh

waqt-e-dil jaane ke hargiz na khabar-dar kiya
ab samjhati hai ye fikr-e-rasa kya kya kuchh

shiddat-e-ranj-o-alam sadma-e-dil soz-e-jigar
furqat-e-yar mein mujh par na hua kya kya kuchh

dair ko puja haram ko kiye gahe sajde
kar liya zist mein beja-o-baja kya kya kuchh

jo talafi na ho mahshar mein ajab hai us ka
khud hain maqul ki yan hum ne kiya kya kya kuchh

gosh par jam ke munh raat ko rakh kar apna
kis ko malum hai shishe ne kaha kya kya kuchh

dagh-e-dil khun-e-jigar aatish-e-gham dard-e-firaq
hum ko bhi ishq ki daulat se mila kya kya kuchh

'muntahi' zor-e-badan quwwat-e-dil chaalaki
ek aane se zaifi ke gaya kya kya kuchh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close