yaad haq ki hai zamane se faramoshi hai hosh ka hosh hai be-hoshi ki be-hoshi hai hosh mein hun na mujhe daura-e-be-hoshi hai ek haalat hai ki haalat se faramoshi hai kaun kahta hai mera aalam-e-be-hoshi hai hosh kaamil hai mujhe is liye khamoshi hai shad hun aaj meri rasm-e-kafan-poshi hai aaj duniya ke jhamelon se subukdoshi hai waqif-e-raaz-e-haqiqat meri be-hoshi hai aalam-e-hosh mera aalam-e-be-hoshi hai dard-e-dil tu ne musibat mein sada sath diya bhul jaana tujhe ehsan-faramoshi hai jo hain aazad wo gulshan mein bahaaren luten meri qismat mein qafas se hi ham-aghoshi hai lab pe kyon aae kabhi teri jafaon ka gila hasil-e-ishq mera tarz-e-wafa-koshi hai dekh hi lenge tujhe dekhne wale tere kis liye parda hai kis baat pe ruposhi hai jab mujhe hosh na tha hosh ki takiden thin hosh mein hun to mujhe dawat-e-be-hoshi hai hosh wala ye samajh jae to hosh aa jae markaz-e-daera-e-hosh hi be-hoshi hai hosh wale ye haqiqat tujhe malum nahin hosh ki had se idhar aalam-e-be-hoshi hai dil mera rah-e-tariqat mein wahin baith gaya jab ye samjha ki tamanna bhi ghalat-koshi hai mit gain dil se tamannaen ye achchha hi hua ab mujhe yas-o-musibat se subukdoshi hai kaba-o-dair ke jhagde to abas hain 'sufi' khana-e-dil ke siwa har jagah ru-poshi hai