yaad karte ho mujhe suraj nikal jaane ke baad ek sitare ne ye puchha raat dhal jaane ke baad main zamin par hun to phir kyun dekhta hun aasman ye khayal aaya mujhe aksar phisal jaane ke baad doston ke sath chalne mein bhi khatre hain hazar bhul jata hun hamesha main sambhal jaane ke baad ab zara sa fasla rakh kar jalata hun charagh tajraba ye hath aaya hath jal jaane ke baad wahshat-e-dil ko hai sahra se badi nisbat ajib koi ghar lauta nahin ghar se nikal jaane ke baad