yahan kisi ne charagh-e-wafa jalaya tha

yahan kisi ne charagh-e-wafa jalaya tha
tabhi ye gham-kada-e-dil bhi jagmagaya tha

junun ki shokh adaon ne fash kar hi diya
wo ek raaz khirad ne jise chhupaya tha

shab-e-bahaar ki shahzadiyo! khabar hai tumhein
abhi abhi koi nashad muskuraya tha

sulag rahi hain umangen to sochta hun main
bahut hi khushk teri zulfon ka narm saya tha

ye mahtab se kis ne mujhe sada di thi
ye kaun dur se mere qarib aaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close