yahi bazm-e-aish hogi yahi daur-e-jam hoga magar aaj ka tasawwur yahan kal haram hoga main kuchh is tarah jiya hun ki yaqin ho gaya hai mere baad zindagi ka bada ehtiram hoga meri zist ek janaza hai jo rah-e-waqt mein hai jo thakenge din ke kandhe to supurd-e-sham hoga yahi hadsat-e-gham hain to ye dar hai jine walo koi din mein zindagi ka koi aur nam hoga