yahi hai ishq ki mushkil to mushkil aasan hai mila hai dard wo dil ko jo rahat-e-jaan hai teri nigah samajhti hai ya nahin dekhun lab-e-khamosh mein koi sawal pinhan hai murad-e-zauq kharabi ki ab bar aaegi ki dil ki tak mein wo chashm-e-fitna-saman hai faragh-e-hauslagi par junun ki shahid hai wo ek chaak jo daman se ta-gareban hai ye be-khudi hai mere aish-e-zindagi ki kafil nigah-e-shauq abhi mahw-e-ru-e-jaanan hai bala-kashon ki dua hai ki ai khuda na mite jigar ka dagh ki chashm-o-charagh-e-hijran hai hawa hai shauq-e-sukhan dil mein mauj-zan 'wahshat' ki ham-safir mera roab sa sukhan-dan hai