yak-ba-yak mausam ki tabdili qayamat dha gai ruk ke sustana tha jab mujh ko kadi dhup aa gai din dhale kis ko hai tajdid-e-safar ka hausla aati jati rahguzar nahaq mujhe bahka gai bu-e-gul mauj-e-hawa hai aur hawa kyunkar ruke ab ke mitti hi ki khushbu mera ghar mahka gai wo hawaen hain ude jate hain pairahan yahan ai urus-e-zist tu kyun ghar se bahar aa gai ye hawa aai kahan se is se main waqif na tha mere ghar mein jo charaghon ka dhuan phaila gai wo ghata phir is taraf se laut kar guzri nahin sukhi dharti ko jo dariya ka pata batla gai zindagi marg-e-talab tark-e-talab 'akhtar' na thi phir bhi apne tane-bane mein mujhe uljha gai