yani us bewafa sitam-gar ki yaad aane se kuchh nahin hota

yani us bewafa sitam-gar ki yaad aane se kuchh nahin hota
sham-e-hijran udas hai logo ghar jalane se kuchh nahin hota

shahzadi hamari qismat mein har nafas tut kar bikharna hai
teri chaaragari-e-ulfat ko aazmane se kuchh nahin hota

barha tujh ko bhul jaane ki koshishen kar ke dekh jaana hai
yaad rakhna fuzul hai jis ko bhul jaane se kuchh nahin hota

sham bhi rang bhi hawaen bhi dil mein utri hain kuchh sadaen bhi
par meri jaan sach kahun tujh bin sab zamane se kuchh nahin hota

apna ahd-e-wafa bhi tod diya ab to wo shahr us ne chhod diya
pahan kar nili shirt ab apni shahr jaane se kuchh nahin hota

ishq mein chot khai hai dil par hijr mein shab guzari hai ro kar
shahr walo hamari haalat par warghalane se kuchh nahin hota

'pushpraj' apni zindagi jaise koi bewa ka husn ho jis ka
ek dafa gar singar puchh jae phir sajaane se kuchh nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close