yaqin-e-mohkam ka hai sahaara yahi amal kargar hai pyare ilaj-e-darj-e-nihan yahi hai isi dawa mein asar hai pyare teri nigahon mein hain samae jamal-e-hasti jalal-e-mani na dekh tu aur ki nazar se teri nazar mo'atabar hai pyare nahin teri rah rah-e-mushkil hai rahbar-e-rah khud tera dil tere qadam mein hai teri manzil tawil be-shak safar hai pyare na hai hasinon mein kaj-adai na zindagi mein koi burai hai nekiyon hi ka ghar khudai agar tu khud khud-nigar hai pyare tere hi dil mein hai jalwa-farma buton ki surat khuda ka jadu yahi hai dair aur yahi hai kaba yahi mohabbat ka ghar hai pyare kahan chhupega wo mah-paikar tu ho na mayus-e-did dam-bhar hon lakh parde rukh-e-hasin par teri nazar bhi nazar hai pyare hain tere ashaar 'arsh' aise rumuz hon zindagi ke jaise tujhe na den log dad kaise bada hi tu nukta-war hai pyare