yaqin-e-wada nahin tab-e-intizar nahin kisi tarah bhi dil-e-zar ko qarar nahin shabon ko khwab nahin khwab ko qarar nahin ki zeb-e-dosh wo gesu-e-mushk-bar nahin kali kali mein samai hai nikhat-e-salma shamim-e-hur hai ye bu-e-nau-bahaar nahin kahan kahan na hue mah-ru juda mujh se kahan kahan meri ummid ka mazar nahin ghamon ki fasl hamesha rahi tar o taza ye wo khizan hai ki sharminda-e-bahaar nahin bahaar aai hai aise mein tum bhi aa jao ki zindagi ka ba-rang-e-gul e'tibar nahin kisi ki zulf-e-pareshan ka saya-e-raqsan hai faza mein baal-fishan abr-e-nau-bahaar nahin sitara-war wo pahlu mein aa gae shab ko sahar se kah do ki mahfil mein aaj bar nahin gul-e-fasurda bhi ek turfa husn rakhta hai khizan ye hai to mujhe hasrat-e-bahaar nahin har ek jam pe ye naghma-e-hazin saqi ki is jawani-e-fani ka e'tibar nahin khuda ne bakhsh diye mere dil ko gham itne ki ab main apne gunahon pe sharmsar nahin chaman ki chandni raaten hain kis qadar viran ki is bahaar mein wo mah-e-nau-bahaar nahin sharik-e-soz hain parwane shama ke 'akhtar' hamare dil ka magar koi gham-gusar nahin