yaqin kaise kaise guman kaise kaise hain aabaad mujh mein jahan kaise kaise falak par milin kaisi kaisi zaminen zamin par hue aasman kaise kaise ubhar aae dharti pe kya kya jazire samundar hue be nishan kaise kaise zamane ne boe hain sahra-o-dariya tere aur mere darmiyan kaise kaise jawani se labrez muflis badan par uthin waqt ki ungliyan kaise kaise mere daur ki khushnuma bastiyon mein mile jangalon ke nishan kaise kaise meri soch ke dilruba sahilon par utarte rahe karwan kaise kaise khizaon mein bhi lahlahati rahi hain teri yaad ki titliyan kaise kaise teri baat har din sunati hain mujh ko sahar ki dil-aweziyan kaise kaise tere wasl mein jo jo bola kiye hai to dhadka kiye hai zaban kaise kaise jawani ne dil kaise kaise jagaya budhape ne din loriyan kaise kaise 'rafia' aur 'iqbaal' ki sarzamin par ghazal-khwan hain ahl-e-zaban kaise kaise