yaqin tut chuka hai guman baqi hai hamare sar pe abhi aasman baqi hai chale to aae hain hum khwab se haqiqat tak safar tawil tha ab tak takan baqi hai unhen ye zoam ki fariyaad ka chalan na raha hamein yaqin ki munh mein zaban baqi hai har ek samt se pathraw hai magar ab tak lahuluhan parinde mein jaan baqi hai fasana shahr ki tamir ka sunane ko gali ke mod pe tuta makan baqi hai mila na jo hamein qatil ki aastin pe 'hasan' usi lahu ka zamin pe nishan baqi hai