ye aur baat hai ki madawa-e-gham na tha lekin tera khulus tawaqqo se kam na tha kya kya faraghaten thin mayassar hayat ko wo din bhi the ki tere siwa koi gham na tha kuchh hum girift-e-gardish-e-dauran mein aa gae kuchh dil bhi tere ishq mein sabit-qadam na tha aae hain yaad tujh se bichhad kar wo log bhi jin se talluqat bigadne ka gham na tha wo daur-e-ishq mahz bhi kiya waqt tha 'azim' jab dil pe naqsh mohr-o-nishan-e-sitam na tha