ye dana-e-hawas tumhein haram kyun nahin raha udan ka wo shauq zer-e-dam kyun nahin raha masafaton ka phir wo ehtimam kyun nahin raha safar darun-e-zat be-qayam kyun nahin raha bikhar gai hai shab to tirgi ka raj kyun nahin jo baam par tha wo mah-e-tamam kyun nahin raha hamare qatl par usul-e-qatl-gah ka kuchh lihaz salib-o-dar ka bhi ehtimam kyun nahin raha bhala ye kaise man len ki dil ko saf kar liya jo sulh ho gai to phir kalam kyun nahin raha jo shoabde the tere pir-e-waqt un ka kya hua ata-e-husn-o-ishq par dawam kyun nahin raha jo pairaw-e-hawa-e-nafs-o-banda-e-hawas hua use ye gham wo waqt ka imam kyun nahin raha dilon ko jitne ki jo karamaten thin kya huin nazar nazar jo faiz tha wo aam kyun nahin raha