ye hum jo hijr mein us ka khayal bandhte hain hawa ki shakh se bu-e-visal bandhte hain hamare bas mein kahan zist ko sukhan karna ye qafiya faqat ahl-e-kamal bandhte hain ye ahd-e-jeb-tarashan ko ab hua malum yahan ke log girah mein sawal bandhte hain wo khub jaante hain ham-dua nihadon ko hamare hath ba-waqt-e-zawal bandhte hain sabhi ko shauq-e-asiri hai apni apni jagah wo hum ko aur hum un ka khayal bandhte hain tumhein pata ho ki hum sahilon ke parwarda mohabbaton mein bhi mazbut jal bandhte hain phir us ke baad kahin bhi wo ja nahin sakta jise bhi bandhte hain hum kamal bandhte hain