ye hum ko kaun si duniya ki dhun aawara rakhti hai ki khud sabit-qadam rah kar hamein sayyara rakhti hai agar bujhne lagen hum to hawa-e-sham-e-tanhai kisi mehrab mein ja kar hamein dobara rakhti hai chalo hum dhup jaise log hi us ko nikal aaen suna hai wo nadi tah mein koi mah-para rakhti hai hamein kis kaam par mamur karti hai ye duniya bhi ki tarsil-e-gham-e-dil ke liye harkara rakhti hai kabhi sar phodne deti nahin diwar se 'tabish' ye kya diwangi hai jo hamein nakara rakhti hai