ye hum par lutf kaisa ye karam kya badal dale hain andaz-e-sitam kya zamana hech hai apni nazar mein zamane ki khushi kya aur gham kya jab us mahfil ko hum kahte hain apna phir us mahfil mein fikr-e-besh-o-kam kya nazar aati hai duniya khub-surat mere saghar ke aage jam-o-jam kya jabin hai be-niyaz-e-kufr-o-iman dar-e-but-khana kya sehn-e-haram kya teri chashm-e-karam ho jis ki jaanib use phir imtiyaz-e-besh-o-kam kya mere mah-e-munawwar tere aage charagh-e-dair kya sham-e-haram kya nigah-e-naz ke do shobade hain 'aziz' apna wajud apna adam kya