ye jism mera thak ke bahut chur hua hai

ye jism mera thak ke bahut chur hua hai
kis kar-e-musalsal pe ye mamur hua hai

wo nind mili hai ki jo puri nahin hoti
wo khwab mila hai ki jo mazur hua hai

jo khauf-e-jarahat mein khula chhod diya tha
wo zakhm mawadon bhara nasur hua hai

ek bar agar saneha mein sud jo dekha
phir zauq-e-hawadis bada bharpur hua hai

kuchh waqt zara aur nahr dudh ki legi
farhad ko tesha nahin manzur hua hai

jo hum se ye kahte the riwayat nahin is ki
ab un ke hi kahne pe ye dastur hua hai

ab maslahatan hi hua paida koi musa
ab maslahatan koh koi tur hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close