ye jism-o-ruh ka rishta bhi bojh lagta hai khud apne aap ka saya bhi bojh lagta hai kisi ko chahte rahna bhi bojh lagta hai kisi ke hijr mein rona bhi bojh lagta hai ye kis maqam pe lai hain shohraten mujh ko ki apne nam ka charcha bhi bojh lagta hai tumhaare sath hi guzri jo zindagi guzri tumhaare baad to jina bhi bojh lagta hai kisi ko meri udasi udas karti hai kisi ko mera ye hansna bhi bojh lagta hai ab aankhen is tarah bojhal hui hain ai 'asim' ki koi khwab suhana bhi bojh lagta hai