ye kab chaha ki main mashhur ho jaun bas apne aap ko manzur ho jaun nasihat kar rahi hai aql kab se ki main diwangi se dur ho jaun na bolun sach to kaisa aaina main jo bolun sach to chakna-chur ho jaun hai mere hath mein jab hath tera ajab kya hai jo main maghrur ho jaun bahana koi to ai zindagi de ki jine ke liye majbur ho jaun sarabon se mujhe sairab kar de nashe mein tishnagi ke chur ho jaun mere andar se gar duniya nikal jae main apne-ap mein bharpur ho jaun