ye kaisa khel hai ab us se baat bhi kar lun kahe to jit ko apni main mat bhi kar lun ye ikhtiyar mera tujh ko jis tarah sochun sahar ko yaad se aur dil se ghat bhi kar lun ye dukh bhi sath chalega ki ab bichhadna hai agar safar mein use apne sath bhi kar lun kisi ka nam na lun aur ghazal ke parde mein bayan us ki main sari sifat bhi kar lun tu meri zat ka mehwar mera madar bhi tu ye musht-e-khak ise kaenat bhi kar lun