ye kaise jaanta gar shahr mein aaya nahin hota yahan diwar hoti hai magar saya nahin hota risalat ki bina gar jhut par rakkhi gai hoti rasulon ko bhi to duniya ne jhuthlaya nahin hota ye khwab-e-subh kya karte tamanna ki hina-bandi agar tarikh ne apne ko dohraya nahin hota jo amrit chhod kar hum log bhi wish-pan kar lete to apne khun mein ye sanp lahraya nahin hota main apne qatl ka us par kabhi shak bhi nahin karta agar wo muskuraate waqt sharmaya nahin hota agar kuchh kaam aati istilah-e-saghar-o-mina to meri tishnagi ne mujh ko bahkaya nahin hota janab-e-'mir' rote hain to 'qaisar' shauq se roen hamare ahd mein ab koi ham-saya nahin hota