ye kaisi aag barasti hai aasmanon se parinde laut ke aane lage udanon se koi to dhund ke mujh ko kahin se le aae ki khud ko dekha nahin hai bahut zamanon se palak jhapakte mein mere udan bharte hi hazaron tir nikal aaenge kamanon se hui hain dair-o-haram mein ye sazishen kaisi dhuan sa uthne laga shahr ke makanon se shikar karna tha jin ko shikar kar ke gae shikariyo utar aao tum ab machanon se riwayaton ko kahan tak uthae ghumoge ye bojh utar do 'pashi' tum apne shanon se