ye kaisi kashmakash hai zindagi mein kisi ko dhundte hain hum kisi mein jo kho jata hai mil kar zindagi mein ghazal hai nam us ka shaeri mein nikal aate hain aansu hanste hanste ye kis gham ki kasak hai har khushi mein kahin chehra kahin aankhen kahin lab hamesha ek milta hai kai mein chamakti hai andheron mein khamoshi sitare tutte hain raat hi mein sulagti ret mein pani kahan tha koi baadal chhupa tha tishnagi mein bahut mushkil hai banjara-mizaji saliqa chahiye aawargi mein