ye kaun hai jo sar-e-rozgar aaya hai kaha ki ishq ka parwardigar aaya hai wo ek tair-e-be-par azab mein jal kar sab hijraton ki masafat guzar aaya hai hamein na wasl ke qisse sunao rahne do hamare haq mein faqat intizar aaya hai jo aaya shahr-e-adam se jahan-e-hasti mein ye waqia hai ki be-ikhtiyar aaya hai ye kya visal ki aakhir meri mohabbat par ba-waqt-e-marg use eatibar aaya hai use khabar hi nahin dil rah-e-mohabbat mein gham-e-hayat ka sadqa utar aaya hai qatil-e-shauq-e-nazar hijraton ka mara 'qamar' tumhaare shahr se bas ashk-bar aaya hai