ye khabar aai hai aaj ek murshid-e-akmal ke pas un ko dhamkaya kisi ne railway-signal ke pas husn-e-awara ka ai hamdam bhala kya e'tibar aaj bhatanagar ke bas mein hai to kal mittal ke pas un ki wahshat se ye zahir ho raha hai khud-ba-khud ye usi mauza mein rahte hain jo hai mangal ke pas baghban ki ab tawajjoh hai gulistan ki taraf paude badh ke khud lagae hain kai kathal ke pas uth gaya bazm-e-tarab se wo raqib-e-ru-siyah rafta rafta hath jab pahuncha mera chappal ke pas razm-gah mein un se nazren lad rahi hain bar bar ho raha hai ek danggal aur usi danggal ke pas log un ki bazm mein rah kar bhi hain mahrum-e-did jaan-ba-lab hain pyas se baithe hue hain nal ke pas dekhiye ye baada-e-rangin ki adna si kashish shaikh-sahib aur khisak kar aa gae botal ke pas naseh-e-nadan ka shikwa karna hai bilkul fuzul wo to pagal hai koi kyun jae phir pagal ke pas himmat-afzai na jab ummal-e-mamuli ne ki pahunchi rishwat afsaran-e-darja-e-awwal ke pas 'shauq'-sahib munis-e-tanhai ki hajat ho gar to kisi din be-takalluf chaliye sewa-dal ke pas