ye khauf kam hai mujhe aur chamko jab tak ho siyah raat ke sannato tum bhi kab tak ho musafiro kahin tanhaiyan na ban jaana ki sath ho bhi agar tum to ek sabab tak ho ye kaj-adai bahut kam nasib hoti hai tum apne gham mein akele ho phir bhi sab tak ho jo log laut ke khud mere pas aae hain wo puchhte hain ki 'ashhar' yahin pe ab tak ho