ye kis dagar pe apna muqaddar hai aaj-kal apne hi haq mein apna sitamgar hai aaj-kal gir jae kab ye jism ki diwar kya kahen ukhda sa sans sans ka patthar hai aaj-kal ab dekhna hai shahr mein kis kis ka sar ude qatil hawa ke hath mein khanjar hai aaj-kal zakhmon ke chand dard ke suraj ghamon ki dhup basti hamare dil ki munawwar hai aaj-kal sadkon pe maut phirti hai nanga badan liye ghar ghar ajab hiras ka manzar hai aaj-kal hum justuju mein nikle hain dariyaon ki 'nazir' aur gird-o-pesh pyas ka lashkar hai aaj-kal