ye kis ke khauf ka galiyon mein zahr phail gaya ki ek nash ke manind shahr phail gaya nahin giraft mein ta-hadd-e-khak ka manzar simat gain meri banhen ki dahr phail gaya tujhe qarib samajhte the ghar mein baithe hue teri talash mein nikle to shahr phail gaya main jis taraf bhi chala jaun jaan se jaun bichhad ke tujh se to lagta hai dahr phail gaya makan makan se nikla ki jaise baat se baat misal-e-qissa-e-hijran ye shahr phail gaya bacha na koi teri dhup ki tamazat se tera jamal ba-andaz-e-qahr phail gaya ye mauj mauj bani kis ki shakl si 'tabish' ye kaun dub ke bhi lahr lahr phail gaya